Tuesday, May 27, 2014

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay


Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay;
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay;

Tu Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof;
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay;

Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein;
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay;

Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha;
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay!

~ Noshi Gilani

Wafaa Ke Baab


Wafaa Ke Baab Mein Ilzaam-e-Aashiqui Na Lia;
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia;

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-Iltafaat Rahay;
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia;

Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay;
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia;

Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay;
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia;

'Faraz' Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi;
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia!

~ Ahmad Faraz

Na Jane Kin Adaaon


Na Jane Kin Adaaon Se Lubhaa Liya Geya Mujhe;
Qateel Mere Samney Churaa Liya Geya Mujhe;

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Seyaahiyan Bikhar Gayin;
To Roshni Ke Vaastey Jalaa Liya Geya Mujhe;

Barah-E-Raast Raabta Na Mujhse Tha Qabool Unhe;
Likhaa Ke Khat Raqeeb Se Bulaa Liya Geya Mujhe;

Jab Un Ke Deed Ke Liye Qitaar Mein Kharra Tha Mein;
Qitaar Se Na Jaane Kyun Hattaa Liye Geya Mujhe;

Mein Rondney Ki Cheez Tha Kisi Ke Paon Se Magar;
Kabhi Kabhi To Zulff Mein Sajaa Liya Geya Mujhe!

Sawaal Tha Ke Wafaa Hai Kya, Jawab Tha Ke Zindagi;
Qateel Pyar Se Galey Laga Liya Geya Mujhe!


~ Qateel Shifai

Keh Rahi Hai Mere


Keh Rahi Hai Mere Jazbaat Ki Jhankaar Tujhe;
Kar Sake Ga Na Koi Meri Tarah Pyaar Tujhe;

Raqss Karti Hai Tere Khoon Mein Meri Khushbu;
Kya Lubhaaye Gi Kisi Phool Ki Mehkaar Tujhe;

Woh Baddan Aik Hi Mar'mar Se Taraashey Jis Ne;
Main Ne Paaya Usi Fankaar Ka Shaahkar Tujhe;

Shayed Ab Chup Na Sake Raaz-E-Mohabbat Mera;
Main Ne Chup Reh Ke Sadaa Di Hai Kayi Baar Tujhe!

~ Qateel Shifai

Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai

Mohabbat Ka Junun Baqi Nahin Hai;
Musalmanon Mein Khun Baqi Nahin Hai;

Safen Kaj, Dil Pareshan, Sajda Bezuk;
K Jazba-e-Andrun Baqi Nahin Hai;

Ragon Mein Lahu Baqi Nahin Hai;
Wo Dil, Wo Awaz Baqi nahin Hai;

Namaz-o-Roza-o-Gurbani-o-Haj;
Ye Sab Baqi Hai Tu Baqi Nahin Hai!

~ Allama Iqbal

Meri Aankhon Ko


Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi;
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi;

Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi;
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi;

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Hum Hain;
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi;

Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar;
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi;

Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi;
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi;

Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun;
Wo Kabhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi!

~ Noshi Gilani

Par Dil Ki Jan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair

Par Dil Ki Jan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair;
Main Kyun kar Kahun Tum Ao K Dil Ki Kashish Se Wo;
Ayenge Daure Ap Mere Ghar Kahe Bagair;
Kya Tab Kya Majal Hamari K Bosa Len;
Lab Ko Tumhare Lab Se Milkar Kahe Bagair;
Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil;
Rahta Nahin Hai Ashiq-e-Muztar Kahe Bagair;
Taqdir Ke Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi;
Dilawata Ai , Zafar, Hai Muqaddar Kahe Bagair!

~ Bahadur Shah Zafar