Tuesday, December 4, 2012

Lagta nahi k sath nibhae ga dair tak,

Lagta nahi k sath nibhaega dair tak,
Lekin wo muJh ko bhool na paega dair tak.

Jo bhi qareeb aaega us ke usay zarur,
wo meri dastaan sunaega dair tak.

Dhonde ga wo muJhe inhi galiyon me aik din
Dhonde ga,or muJh ko na paega dair tak.

Me sahilon ki rait pe likhungi us ka naam,
Wo pani pe mere naqsh banaega dair tak.

Kis haal mein hoon us ke baad main,
Sun kar usey yaqeen na Aaega dair tak.

Fir se ek baar dil me tera hone ki tamanna hai

Fir se ek baar dil me tera hone ki tamanna hai
Tumhare hi khayalo’n me khone ki tamanna hai

Muddat se in aankho’n me tarawish nahi jhalki,
Aakar fir se rula jao, ke fir rone ki tamanna hai

Fir is dil-a-nada’n me, dard ki hawas jaagi hai,
Tasbeeh-a-hayat me azeeyat pirone ki tamanna hai

Khuda ka wasta, tum mujhpe koi reham na karna,
Fir dil ko ghamo’n ka bojh dhone ki tamanna hai

Main hansta khelta aayine ko bhi achha nahi lagta,
Aankho’n ko ashko’n se ab bhigone ki tamanna hai

Humare dil se fir khelo aur fir todkar chal do Karan,
Gar tumko apne is pasandida khilone ki tamanna hai

Meri Zindagi Main Khuda Ke Baad Ho Tum

Meri Zindagi Main Khuda Ke Baad Ho Tum
Her Pal ,Her Jagah,Her Ghari, Yaad Ho Tum
Meri Zeesth Ka Hasil Ho Tum
Meri Zaat Main Shamil Ho Tum
Tum Hi Roop,Tum Hi Darpan
Tum Hi Jeewan Ka Sundarpan
Tum Hi Jeenay Ka Sahara Ho
Tum Hi Sahil Ka Kinara Ho
Tum Hi Chahat Ka Asmaan
Tum Hi Zakhmoon Ka Darmaan
Tum Hi Rooh Ka Karwaan
Tum Hi Se Hai Zindagi Darakhshaan
Tum Hi Is Dil Ki Dharkan Ho
Tum Hi Jeenay Ka Kaaran Ho
Tum Hi Dhoop,Tum Hi Chaaoon
Tumhray Bin Main Reh Na Paaoon
Tum Hi Ratjagoon Ka Hasil Ho
Tum Hi Raastoon Ki Manzil Ho
Tum Hi Ho Meri Raahguzar
Tum Hi Mehboob,Tum Hi Hamsafar