Tuesday, July 24, 2012

Karoge Yaad Toh Har Baat Yaad Aaye Gi

Karoge yaad toh har baat yaad aaye gi
guzarte waqt ki har mauj thehar jaaye gi

Yeh chand beete zamaano.N ka aa'eena hoga
bhatakte abar mei.N chehra koi bana hoga
udaas raah koi dastaa.N sunaaye gi

Karoge yaad toh har baat yaad aaye gi
guzarte waqt ki har mauj thehar jaye gi

Barasta bheegta mausam dhuwan dhuwan hoga
Pighalti shammo.N pe dil ka mere guma'n hoga
Hatheliyo.N ki heena yaad kuch dilaaye gi

Karoge yaad toh har baat yaad aaye gi
guzarte waqt ki har mauj thehar jaaye gi

Gali ke mod pe soona sa koi darwaaza
Tarasti aankho.N se rasta kisi ka dekhe ga
Nigah door talak ja ke laut aaye gi

Karoge yaad toh har baat yaad aaye gi
guzarte waqt ki har mauj thehar jaaye gi



کروگے یاد تو ہر بات یاد آے گی
گزرتے وقت کی ہر موج ٹھہر جائے گی

یہ چاند بیتے زمانوں کا آئینہ ہوگا
بھٹکتے ابر میں چہرہ کوئی بنا ہوگا
اداس راہ کوئی داستان سناے  گی

کروگے یاد تو ہر بات یاد آے گی
گزرتے وقت کی ہر موج ٹھہر جائے گی

برستا بھیگتا موسم دھواں دھواں ہوگا
پگھلتی شمعوں   پے دل کا میرے گمان ہوگا
ہتھیلیوں کی ہینا یاد کچھ دلاے  گی

کروگے یاد تو ہر بات یاد آے گی
گزرتے وقت کی ہر موج ٹھہر جائے گی

گلی کے موڈ پے سونا سا کوئی دروازہ
ترستی آنکھوں سے راستہ کسی کا دیکھ گا
نگاہ دور تلک جا کے لوٹ آے گی

کروگے یاد تو ہر بات یاد آے گی
گزرتے وقت کی ہر موج ٹھہر جائے گی


Ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale
qarar de ke tere dar se beqarar chale

Uthaye phirte the ehsaan jism ka jaan par
chale jahan se toh yeh pairahan utaar chale

Sehar na aayee kai baar neend se jaag gaye
so raat raat ki yeh zindagi guzaar chale

Mili hai shama se yeh rasm-e-aashiqui ham ko
gunah haath pe le kar gunahgaar chale
pyaar ka pahla khat likhne mein waqt to lagta ha
naye parindo.N ko oodne mein waqt to lagta ha

jism ki baat nahee.N thi un ke dil tak jana tha
lambi doori taey kerne mein waqt to lagta ha

ganth agar lag jaye toh rishte ho.N ya dori
lakh kare.N koshish khulne mein waqt to lagta ha

hum ne ilaj-e-dard-e-dil to dhoondh liya lekin
ghahre zakhmo.N ko bharne mei.N waqt to lagta ha  

Woh Ishq Jo Hum Se Rooth Gayaa

Woh Ishq jo hum se rooth gayaa ab us ka haal bataaye.N kya
Koi Mehar nahi koi Qahar nahi phir sachchaa sher sunaye.N kya

Eik hijr jo hum ko laahaq hai ta'a der Oose doharaaye.N kya
Woh Zahar jo dil mei.N utaar liya phir uske naaz uthaaye.N kya

Eik Aag ghum-e-tanhaee ki jo saare badan mei.N phail gaee
Jab jism hee sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaaye.N kya

Hum Naghmasaraa kuch ghazlon ke hum sura-gar kuch Khawabo.N ke
Bejazba-e-shauq sunaaye.N kya koi Khawab na ho toh bataye.N kya
Dhuaa.N bana ke fiza mei.N ooda diya mujh ko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko
Khada hoon aaj bhi Roti ke chaar harf leeye
Sawal yeh hai ke kitaabo.N ne kya diya mujh ko
Sufaid rang ki Chadar lapet kar mujh par
Faseel-e shehar par kisi ne saja diya mujh ko
Main eik zara bulandi ko chhoone nikla tha
Hawa ne tham ke zameen par gira diya mujh ko

Saturday, July 21, 2012

Har Waqt Ulajhna Mujhe Achha Nahi Lagta


Har waqt ulajhna mujhe achha nahi lagta
Bekar tamashaa mujhe achha nahi lagta

Socha tha oose chhor ke khush rahne lagenge
Par ab sara zamana mujhe achha nahi lagta

Nafrat bhi oos se mujhe musalsal nahi rahti
Apna yeh rawaiyyah mujhe achha nahi lagta

Ek umar ki koshish meri bekaar gayee hai
Yeh umar ka hissa mujhe achha nahi lagta

Woh shakhs ke jo mera apna bhi nahi hai
Ho jaaye kisi aur ka mujhe achha nahi lagta


ہر وقت الجھنا مجھے اچھا نہیں لگتا
بیکار تماشہ مجھے اچھا نہیں لگتا

سوچا تھا اسے چھوڑ کے خوش رہنے لگیںگے
پر اب سارا زمانہ مجھے اچھا نہیں لگتا

نفرت بھی اس سے مجھے مسلسل نہیں رہتی
اپنا یہ رویہ مجھے اچھا نہیں لگتا

ایک عمر کی کوشش میری بیکار گیئ ہے
یہ عمر کا حصّہ مجھے اچھا نہیں لگتا

وہ شخص کے جو میرا اپنا بھی نہیں ہے
ہو جائے کسی اور کا مجھے اچھا نہیں لگتا

Aag dil ko lage aankho.N ko dhuaan le jaaye
Gham bichhadne ka hamei.N jane kahan le jaye

Ek tute hue patte ki tarah hai.N hum bhi
Ab hawa chahe jahan hamko wahan le jaye

Ham tere dukh ko uthaye hue yun firte hai.N
Jaise kaandhe pe koi apna maka'n le jaye

Sirf tera chehra hai  nazar mei.N na koi manzil hai
Bas chale jayenge ham ab ye raah jahan le jaye

Uska ab roop rang kya hoga, bolta ang ang kya hoga
Bas udasi hi taqdeer ho jiski, uski khushiyon ka rang kya hoga
Mar raha hai tere feraq mei.N jo, uske jeene ka dhang kya hoga

Wednesday, July 11, 2012


کوئی غزل سنا کر کیا کرنا
یوں بات بڑھا کرکیا کرنا

تم میرے تھے تم میرے ہو
دنیا کو بتا کر کیا کرنا

تم عہد نبھاؤ چاہت سے
کوئی رسم نبھا کر کیا کرنا

تم خفا بھی اچھے لگتے ہو
پھر تمکو منا کر کیا کرنا

تیرے دار پی آ کے بیٹھے ہیں
اب گھر بھی جا کر کیا کرنا

دن یاد سے اچھا گزریگا
پھر تم کو بھلا کر کیا کرنا


Koi ghazal suna kar kya karna,
 
Yoon baat badha kar kya karna.

Tum mere the tum mere ho,
Duniya ko bata kar kya karna.

Tum ahad nibhao chaahat se,
Koi rasm nibha kar kya karna.

Tum khafa bhi achhe lagte ho,
Phir tumko mana kar kya karna.

Tere dar pe aa ke bethe hain,
Ab ghar bhi ja kar kya karna.

Din yaad se acha guzray ga,
Phir tum ko bhula kar kya karna.

Friday, July 6, 2012


Yun dil na lage na dard uthe, mat roz milo toh achha hai
Na pyaar badhe, na jhagda ho, tum dur baso to achha hai

Is pyaar ki sundar baahon mein, ab baahein daal ke so bhi chuko
Yun jee jee ke ab marney se, marr marr ke geeo toh achha hai

Le ke zanjeerein haathon mein, kuch log tumhari taaq mein hain
Aey ishq humari galiyon mein, na aur phiro toh achha hai

(unknown)

Aadat Si Ho Gayi Hai

Ghamon Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai,
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Ye Kaisa Waqt Aaya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai,
Kudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hai,

Jane Kyon Wo Mujhse Ajnabi Sa Ho Gaya Hai,
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se Khushbu Hi Kho Gayi Hai,

Ye Kaisi Hawa Mere Jism Ko Chhu Gayi Hai,
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai,

Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taweel Ho Gayi Hai,
Mujhse Shayad Dosti Ki Bhool Ho Gayi Hai,

Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai,
Saans Toh Chal Rahi Hai, Rooh Saath Chhod Gayi Hai…

(unknown)

Tanha Raaton Mein Teri Yaadon


Tanha Raaton Mein Teri Yaadon Ke Jab Deep Jalte Hain
Sisakti Aankhon Se Ashkon Ke Lahoo Beh Nikalte Hain

Tedapte Dil Ko Jab Saanson Ki Koi Rahh Nahi Milti…
Bikharti Soch Ke Dhaage Khayalon Mein Ulajhte Hain

Tum Mere Pass Na Bhi Ho Toh Har Dam Pass Rehte Ho…
Khayalon Mein, Duaon Mein Tumhein Hee Yaad Karte Hain

Kaha Tha Ye Kabhi Tum Ne Ke Sab Kuch Bas Tumhee Toh Ho…
Yahee Jummlay SamAaton Mein Sadaa Banke Oobharhte Hain

Labon Ke Kufal Chahein Bhi Toh Ham Se Khul Nahi Paate..
Kahein Kaise Ke Ham Bhi Toh Tumhee Se Pyaar Karte Hain

(Unknown)

Sab se Chhupa Ke Dard



Sab se Chhupa Ke Dard, Jo Woh Muskura Diye
Us Ki Hansi Ne Aaj to Mujh ko bhi rula Diya

Lahje Se Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ki Kuch Ganwa Diya

Awaz Mein thehrao tha Aankhon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya

Jane Kya thi Usko, Logon Se itni Shikayaten
Tanhayion Ke Desh Mein Khud Ko Basa Diya

Khud Bhi Woh Hum se Bichad Ker Adhure Sa Ho Gaye
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Mein Tanha Bana Diya…!!!


(Unknown)