Saturday, September 29, 2012

Yaarana Achcha Lagta Hai..

Ajeeb Daastan Hoti Hai DOSTI Ki,
LADNA MILNE Se Bhi Achcha Lagta Hai..

LAD Ke Manane Wale Bhi Hote Hai,
Kuch Ko CHIDHANA Achcha Lagta Hai..

Dost Ke MUH Se Kuch Sun-Ne Ke Liye,
Kabhi Jhuk Jana Achcha Lagta Hai..

SAFAR Train Ka Ho Ya Zindagi Ka,
Khamosh RehKar Muskurana Achcha Lagta Hai…

DOSTO Me Hi Lagta Hai Mil Gai Puri Duniya,
Baki Sab Bhool Jaana Achcha Lagta Hai,

DOSTO Tum Hamesha Saath Rahna
Tumhara Yaarana Achcha Lagta Hai..

Mujhe Tan Se Zyada Us Kaa Mann Achcha Laga Tha

Mujhe Tan Se Zyada, Us Ka Mann Achcha Laga Tha
Aur Us Ki Shakhsiyat Ka Baankpan Achcha Laga Thaa

Gharaz Mujh Ko Nahin Thi Zaahirii Surat Se Us Ki
Mujhe To Sirf Andaz-e-sukhan Achcha Laga Tha

Vo Sidhi Baat Bhi Kartaa Tha Aksar Shaayri Me
Mujhe Uss Kaa Yehi Diwaanaapan Achcha Laga Tha

Zamaanaa Keh Rahaa Thaa Us Ke Baare Men Fasane
Magar Mujh Ko To Us Kaa Har Chalan Achcha Laga Tha

Dhanak Ke Rang Hi Bhaate Hain Aksar Larkiyon Ko
Mujhe Toh Eik Saadaa Pairahan 
Achcha Lagaa Tha

Bane Alfaaz Angaare Tau Ab Hairaan Huun Main
Ke Us Lahje Kaa Mujh Ko Dhiimaapan 
Achcha Lagaa Tha

Mire Baalon Ki Chaandii Se Gurezaa Aaj Hai Woh
Jise Kal Mera Chaandii Saa Badan 
Achcha Lagaa Tha

Vo Jis Dam Us Ne Mujh Se Khelne Ko Chaand Maangaa
Mujhe Bachche Kaa Apne, Bholaapan 
Achcha Lagaa Tha

Pariindaa Laut Ke Vaapas Qafas Mein Aa Gayaa Hai
Jise Phailaa Huvaa Niilaa Gagan 
Achcha Lagaa Tha

Sunday, September 23, 2012

Mat puchhiye kyon paon mein raftaar nahi hai
Ye karwaa'n manzil ka talabgaar nahi hai

Humse dosti karne ki naa socho tum 
Ye dil mera dard ka darbaar hai bazaar nahi hai 

Dosti ki aad mein hamare dard se kheloge tum 
Humein aise sahare ki darkaar nahi hai 

Hum bhula ke usse zindagi ki raah mein 
Aage jaane ke liye shayad taiyaar nahi hai

Ab Main Mushkurana Chahta Hoon

Use Main Bhul Jana Chahta Hoon
Suno Main Mushkurana Chahta Hoon
Dukhi Rehne Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahta Hoon
Puraney Sab Ta'aluq Tod Kar Ab
Nai Duniya Basana Chahta Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Unse Jaan Churana Chahta Hoon
Woh Sab Tohfey Woh Sukhey Phul Sare
Main Ab Un Ko Jalana Chahta Hoon
Main Utna Pass Aata Hu Tumharey
Main Jitna Dur Jana Chahta Hoon
Mere Hamdam, Haqiqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahta Hoon
Ubharne Ki Koi Khwahish Nahi Hai
Ke Ab Main Doob Jana Chahta Hoon

kho gaya jo ussay dhoond ke laaoon kaisay

kho gaya jo ussay dhoond ke laaoon kaisay

laapata ka pata sabko bataoon kaisay 



woh toh kehta hai chalo saath saffar kartay hain

saath chalta hoon magar saath nibhaoon kaisay 



meray alfaaz mein woh apni ghazal kaisay kahay?
apni aankhon se ussay khawab dikhaoon kaisay 

woh jo hota toh har roz jashan sa hota
uske jaanay pe ab eid manaooun kaisay 

tu meri yaad mein har roz chala aata hai
sochta hoon main teri yaad mein aaoon kaisay 

kab se aangan mein bahaarein nahi aayee hain
khushk phoolon se main ghar ko sajaoon kaisay 

kaisay beh jaoon phir teri soch k dhaaray mein
lot aya hoon ab uss simt ko jaaoon kaisay 

jhoot sun-nay ke aadi hain meray sheher ke log
kyun kahoon such aur unko rulaaoon kaisay 

dil jo roothay toh teri yaad mana leti thee
yaad roothi hai ab isko manaoon kaisay

Bichhda Hai Ek Baar Toh


Bichhda Hai Ek Baar To Milte Nahin Dekha
Is Zakhm Ko Hamne Kabhi Silte Nahin Dekha 

Ik Baar Jise Chaat Gayi Dhoop Ki Khwaahish
Phir Shaakh Pe Us Phool Ko Khilte Nahin Dekha 

Yakhlakht Gira Hai To Jadein Nikal Aayien
Jis Ped Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahin Dekha 

Kaanton Mein Ghire Phool Ko Choom Aayegi Lekin
Titli Ke Paron Ko Kabhi Chhilte Nahin Dekha 

Kis Tarah Meri Rooh Har Kar Gaya Aakhir
Woh Zeher Jise Jism Mein Khilte Nahin Dekha