Sunday, August 12, 2012

Ghazal of Khumar Barabankvi

durii ke Gam kuchh aur sivaa ho ke rah gaye
ham un se kyaa mile ke judaa ho ke rah gaye

khoye hue the der se vo merii yaad mein
mujh par nazar parii to Khafaa ho ke rah gaye

phir doston ko main ne pai mashq de diye
jo tiir mujh tak aaye Khataa ho ke rah gaye

majabuur ho ke maangii thii lutf-o-karam kii bhiik
lutf-o-karam bhii jor-o-jafaa ho ke rah gaye

ab kyaa rahaa tere liye ai ishq naamuraad
ab vo bhii mubtilaa-e-vafaa ho ke rah gaye

Allaah aaiinaa to kabhii dekh lo 'Khumaar'
tum kyaa the aur ishq mein kyaa ho ke rah gaye
(Khumar Barabankvi)
haal-e-Gam un ko sunaate jaayiye
shart ye hai ke muskuraate jaayiye

aap ko jaate na dekhaa jaayegaa
shammaa ko pahale bujhaate jaayiye

shukriyaa lutf-e-musal_sal kaa magar
gaahe gaahe dil ko dukhaate jaayiye

dushmano.n se pyaar hotaa jaayegaa
dosto.n ko aazamaate jaayiye

raushnii mahaduud ho jin kii 'Khumaar'
un charaaGo.n ko bujhaate jaayiye
(Khumar Barabankvi)
mujh ko shikast-e-dil kaa mazaa yaad aa gayaa
tum kyo.n udaas ho kyaa yaad aa gayaa

kahane ko zindagii thii bahut muKhtasar magar
kuchh yuu.N basar huii ke Khudaa yaad aa gayaa

vaa_iz salaam le ke chalaa maikade ko mai.n
firdaus-e-gum_shudaa kaa pataa yaad aa gaya

barase baGair hii jo ghaTaa ghir ke khul ga_ii
ek bevafaa kaa ahd-e-vafaa yaad aa gayaa

maa.Nge.nge ab duaa ke use bhuul jaaye.n ham
lekin jo vo bevaqt-e-duaa yaad aa gayaa

hairat hai tum ko dekh ke masjid me.n ai 'Khumar'
kyaa baat ho ga_ii jo Khudaa yaad aa gayaa
(Khumar Barabankvi)
tasviir banaataa huu.N tasviir nahii.n banatii


tasviir banaataa huu.N tasviir nahii.n banatii
ek khvaab saa dekhaa hai taabiir nahii.n banatii

bedard muhabbat kaa itanaa saa hai afasaanaa
nazaro.n se milii nazare.n mai.n ho gayaa diivaanaa
ab dil ke bahalane kii tadabiir nahii.n banatii

dam bhar ke liye merii duniyaa me.n chale aao
tarasii huii aa.Nkho.n ko phir shaql dikhaa jaao
mujhase to merii biga.Dii taqadiir nahii.n banatii
(Khumar Barabankvi)
ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye

bhuule hai.n unhe.n raftaa raftaa mudatto.n me.n ham
qishto.n me.n Khud_kushii kaa mazaa ham se puuchhiye

aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye

jalate diyo.n me.n jalate gharo.n jaise zau kahaa.N
sarakar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye

vo jaan hii gaye ke hame.n un se pyaar hai
aa.Nkho.n kii muKhbarii kaa mazaa ham se puuchhiye

ha.Nsane kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah
ha.Nsiye magar ha.Nsii kaa mazaa ham se puuchhiye

ham taubaa kar ke mar gaye bemaut ai 'Khumar'
tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye
(Khumar Barabankvi)
bujh gayaa dil hayaat baaqii hai
chhup gayaa chaa.Nd raat baaqii hai

hal-e-dil un se kah chuke sau baar
ab bhii kahane kii baat baaqii hai

raat baaqii thii jab vo bichha.De the
kaT ga_ii umr raat baaqii hai

ishq me.n ham nibhaa chuke sab se ai 'Khumar'
bas ek zaalim hayaat baaqii hai
(Khumar Barabankvi)
hijr kii shab hai aur ujaalaa hai
kyaa tasavvur bhii luTane vaalaa hai

Gham to hai ain zindagii lekin
Gham_gusaaro.n ne maar Daalaa hai

ishq majabuur-o-naamuraad sahii
phir bhii zaalim kaa bol_baalaa hai

dekh kar barq kii pareshaanii
aashiyaa.n Khud hii phuu.Nk Daalaa hai

kitane ashko.n ko kitanii aaho.n ko
ik tabassum me.n us ne Dhaalaa hai

terii baato.n ko mai.n ne ai vaa_iz
ahataraamaa ha.Nsii me.n Taalaa hai

maut aaye to din phire shaayad
zindagii ne to maar Daalaa hai

sher nazme.n shaguftagii mastii
Gam kaa jo ruup hai niraalaa hai

laGziishe.n muskuraa_ii hai.n kyaa kyaa
hosh ne jab mujhe sambhaalaa hai

dam andhere me.n ghuT rahaa hai Khumaar
aur chaaro.n taraf ujaalaa hai
(Khumar Barabankvi)
aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii
jazbaat me.n vo pahalii sii shiddat nahii.n rahii

sar me.n vo intazaar kaa saudaa nahii.n rahaa
dil par vo dha.Dakano.n kii hukuumat nahii.n rahii

paiham tavaaf-e-kuuchaa-e-jaanaa ke din gaye
pairo.n me.n chalane phirane kii taaqat nahii.n rahii

chehare kii jhurriyo.n ne bhayaanak banaa diyaa
aa_iinaa dekhane kii bhii himmat nahii.n rahii

kam_zorii-e-nigaah ne sanjiidaa kar diya
jalvo.n se chhe.D-chhaa.D kii aadat nahii.n rahii

allaah jaane maut kahaa.N mar ga_ii 'Khumar'
ab mujh ko zindagii kii zaruurat nahii.n rahii
(Khumar Barabankvi)
ham unhe.n vo hame.n bhulaa baiThe
do gunah_gaar zahar khaa baiThe

haal-e-Gam kah kah ke Gam ba.Dhaa baiThe
tiir maare the tiir khaa baiThe

aa.Ndhiyo.n jaao ab aaraam karo
ham Khud apanaaa diyaa bujhaa baiThe

jii to halkaa huaa magar yaaro
ro ke ham lutf-e-Gam ba.Dhaa baiThe

besahaaro.n kaa hausalaa hii kyaa
ghar me.n ghabaraaye dar pe aa baiThe

jab se bichha.De vo muskuraaye na ham
sab ne chhe.Daa to lab hilaa baiThe

ham rahe mubtalaa-e-dair-o-haram
vo dabe paao.N dil me.n aa baiThe

uTh ke ik bevafaa ne de dii jaan
rah gaye saare baavafaa baiThe

hashr kaa din hai abhii duur 'Khumar'
aap kyo.n zaahido.n me.n jaa baiThe
(Khumar Barabankvi)
ha.Nsane vaale ab ek kaam kare.n
jashn giriyaa kaa ahatamaam kare.n

ham bhii kar le.n jo raushanii ghar mei.n
phir a.ndhere kahaa.n qayaam kare.n

mujh ko maharuumii-e-nazaaraa qabuul
aap jalave na aap ke aam kare.n

ik guzaarish hai hazarat-e-naaseh
aap ab aur ko_ii kaam kare.n

aa chale.n us ke dar pe ab ai dil
zindagii kaa safar tamaam kare.n

haath haTataa nahii.n hai dil se 'Khumar'
ham unhei.n kis tarah salaam kare.n
(Khumar Barabankvi)

Wednesday, August 8, 2012

Ghazals of Khumar Barabankvi

woh hamei.n jis qadar aazamaate rahe
apnii hii mushkilo.n ko badhaate rahe

woh akele mei.n bhii jo lajaate rahe
ho na ho un ko ham yaad aate rahe

yaad karne par bhii dost aaye na yaad
dosto.n ke karam yaad aate rahe

aa.Nkhe.n suukhii hu_ii nadiyaa.N ban ga_ii.n
aur tuufaan badsatuur aate rahe

pyaar se un kaa inkaar bar-haq magar
lab ye kyuu.N der tak thar-tharaate rahe

thii.n to kamaane.n haatho.n mei.n aGyaar ke
tiir magar apano.n kii jaanib se aate rahe

kar liyaa sab ne ham se kinaaraa magar
ek naaseh Ghariib aate jaate rahe

maikade se nikal kar janaab-e-'Khumar'
qaabaa-o-dair mei.n Khaak u.Daate rahe
na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai

sukuun hii sukuun hai Khushii hii Khushii hai
teraa Gham salaamat mujhe kyaa kamii hai

charaaGo.n ke badale makaa.N jal rahe hai.n
nayaa hai zamaanaa na_ii raushanii hai

are o jafaao.n pe chup rahane vaalo.n
Khaamoshii jafaao.n kii taa_iid bhii hai

mere rah_bar mujh ko gum_raah kar de
sunaa hai ki manzil qariib aa ga_ii hai

'Khumar' ek baalaanosh tuu aur taubaa
tujhe zaahido.n kii nazar lag ga_ii hai
kabhii jo mai.n ne masarrat kaa ehatamaam kiyaa
bare Tappak se Gham ne mujhe salaam kiyaa

hazaar tark-e-ta'alluq kaa ehatamaam kiyaa
magar jahaaN vo mile dil ne apanaa kaam kiyaa

zamaane vaalon ke Dar se uThaa na haath magar
nazar se us ne basad maazarat salaam kiyaa

kabhii haNse kabhii aahen bhariin kabhii roye
baqadr-e-martabaa har Gham kaa ehataraam kiyaa

hamaare hisse kii may kaam aaye pyaason ke
zer-e-raah-e-Khair gunaah shikast-e-jaam kiyaa

tuluu-e-mahar se bhii ghar ki tiiragii na ghaTii
ek aur shab kaTii yaa mai.n ne din tamaam kiyaa

duaa ye hai ke na huuN gum_raah ham_safar mere
'Khumar' mai.n ne to apanaa safar tamaam kiyaa
kyaa huaa husn ham_safar hai yaa nahiin
ishq manzil hii manzil hai raastaa nahiin

Gham chhupaane se chhup jaaye aisaa nahiin
beKhabar tuu ne aaiinaa dekhaa nahiin

do parinde ure aaNkh nam ho gaii
aaj samajhaa ke main tujh ko bhuulaa nahiin

ahal-e-manzil abhii se na mujh par haNso
paaoN TuuTe hain dil meraa TuuTaa nahiin

tark-e-may ko abhii din hii kitane huye
aur kuchh kahaa may ko zaahid to achchhaa nahiin

chhor bhii de ab meraa saath ai zindagii
mujh ko nadaamat hai tujh se shikvaa nahiin

tuune taubaa to kar lii magar ai 'Khumar'
tujh ko rahamat par shaayad bharosaa nahiin
vahii phir mujhe yaad aane lage hai.n
jinhei.n bhulaane mei.n zamaane lage hai.n

vo hai.n paas aur yaad aane lage hai.n
muhabbat ke hosh ab Thikaane lage hai.n

sunaa hai hame.n vo bhulaane lage hai.n
to kyaa ham unhe.n yaad aane lage hai.n

haTaaye the jo raaste se dosto.n kii
vo patthar mere ghar mei.n aane lage hai.n

ye kahanaa thaa un se muhabbat hai mujhako
ye kahane mei.n mujh ko zamaane lage hai.n

qayaamat yaqiinan qariib aa gaii hai
'Khumar' ab to masjid ko jaane lage hai.n

haal-e-Gam un ko sunaate jaayiye
shart ye hai ke muskuraate jaayiye

aap ko jaate na dekhaa jaayegaa
shammaa ko pahale bujhaate jaayiye

shukriyaa lutf-e-musal_sal kaa magar
gaahe gaahe dil ko dukhaate jaayiye

dushmano.n se pyaar hotaa jaayegaa
dosto.n ko aazamaate jaayiye

raushnii mahaduud ho jin kii 'Khumaar'
un charaaGo.n ko bujhaate jaayiye
vo savaa yaad aaye bhulaane ke baad
zindagii barh gaii zahar khaane ke baad

dil sulagataa rahaa aashiyaane ke baad
aag ThanDii huii ik zamaane ke baad

raushanii ke liye ghar jalaanaa paraa
kaisii zulmat barhii tere jaane ke baad

jab na kuchh ban paraa arz-e-Gam kaa javaab
vo Khafaa ho gaye muskuraane ke baad

dushmanon se pashemaaaN honaa paraa hai
doston kaa Khuluus aazamaane ke baad

baKhsh de yaa rab ahal-e-havas ko bahisht
mujh ko kyaa chaahiye tum ko paane ke baad

kaise kaise gile yaad aaye 'Khumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad
vo jo aaye hayaat yaad aayii
bhuulii bisrii sii baat yaad aayii

haal-e-dil kah ke jab lauTe
unse kahne kii baat yaad aayii

aapne din banaa diyaa thaa jise
zindagii bhar vo raat yaad aayii

tere dar se uThe hii the ke hame.N
tangii-e-qaaynaat yaad aayii
ai maut! unhe.N bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

O jaane vaale aa ki tere intazaar mei.N
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

Gham hai na ab Khushii hai na ummiid hai na aas
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye

kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii ab mai.N dosto.N
patthar bhii ghar mei.N aaye zamaane guzar gaye

jaane bahaar phuul nahii.N aadmii huu.N mai.N
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

kyaa kyaa tavaqqo_at thii aaho.N se ai 'Khumar'
ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye
husn jab meharbaa.N ho to kyaa kiijiye
ishq kii maGfirat kii duaa kiijiye

is saliiqe se un se gilaa kiijiye
jab gilaa kijiye ha.Ns diyaa kiijiye

duusaro.n pe agar tabsiiraa kiijiye
saamane aa_iinaa rakh liyaa kiijiye

aap sukh se hai.n tark-e-ta'alluq ke baad
itanii jaldii na ye faisalaa kiijiye

ko_ii dhokhaa na khaa jaaye meri tarah
aise khul ke na sab se milaa kiijiye

aql-o-dil apni apni kahe.N jab 'Khumar'
aql kii suniye dil kaa kahaa kiijiye

Jab se Us be-wafa se an-ban hai
zindagi, zindagi ki dushman hai

Un se kuchh kahne hi nahi.n deti
ye jo eik cheez dil ki dhadkan hai

Zabt-e-girya arre ma'asha Allah
jaise rag rag mei.N aag roshan hai

kis ke jalne ka tu ne zikr kiya
woh to humdam mera nasheman hai

kis se tu shikve kar raha hai Khumar
ye nadan tera hi daman hai
Akele Hain Wo Aur Jhunjula Rahe Hain
Meri Yaad Se Jung Farma Rahe Hain

Elahi mere dost hon khairiyat se
Ye kyon ghar mein pathar nahi aa rahe hain

Bahut khush hai gustakhiyon par hamari
Ba-zahir jo barham nazar aa rahe hain

Ye kaisi hawa-e-taraqee chali hai
Diye to diye, dil bujhe jaa rahe hain

Bahisht tasawur ke jalwe hain main hoon
Judaee salamat maze aa rahe hain

Baharon mein bhi mai se parhaiz tauba
Khumar aap kaafir huye jaa rahe hain

Thursday, August 2, 2012

Qayamat Khaiz hai Uski Judaee Ka Sama.n Ab Tak

Qayamat Khaiz hai Uski Judaee Ka Sama.n Ab Tak
Nigahen Hain Meri Mannjumla Aah-o-faga.n Ab Tak

Ye Mana Apni Chashm-e-tar Darya Hai Ravaa.n Ab Tak
Magar Dil Mein Jo Toofan Tha, Wo Dil Mein Hai Niha.n Ab Tak

Ghum Nana Nahi Aalooda Aah-o-faga.n Ab Tak
Bahut Hi Shadmaan Hai Khatir Shadmaa.n Ab Tak

Hum unse Badghuman Hain Hum Se Wo Badghuma.n Ab Tak
Khuda Rakhe Mohabbat Ko, Mohabbat Hai Javaa.n Ab Tak

Hazaron Ashiyaan Ban Jaayenge Gulshan Jo Baqi Hai
Nahi Samjhe Ye Nukta Ashiqaane Ashiyaan Ab Tak

Jhatak Kar Daman Apna Tum Toh Rukhshat Ho Gaye Lekin
Nahi Sambhla Nahi Sambhala Khumar Natava.n Ab Tak

(Khumar Barabankvi)

Ankhon Ke Charagon Mein Ujale Na Rahenge

Ankhon Ke Charagon Mein Ujale Na Rahenge
Aa Jao Ke Phir Dekhne Wale Na Rahenge

Jaa Shauq se Lekin Palat Aane Ke Liye Jaa
Hum Dair Tak Apne Ko Sambhale Na Rahenge

Ai Zauq Safar Khair Ho Nazdeek Hai Manzil
Sab Kahte Hain Ab Paaon Mein Chhale Na Rahenge

Jin Naalon Ki Ho Jaye Ta Dost Rasaaee
Woh Sana hi Ban Jaaenge, Naale Na Rahenge

Shamen Jo Bujhen, Bujhne De Dil Bujhne Na Pae
Ye Shama Hoye Gul Toh Ujale Na Rahenge

Kyon Zulmate Ghum Se Ho Khumar Itne Pareshan
Baadal Ye Hamesha Hi Toh kaale Na Rahenge
(Khumar Barabankvi)