Monday, June 11, 2012

Aaj Rootha huwa eik dost bahut yaad aaya

Aaj Rootha huwa eik dost bahut yaad aaya
Achha guzra huwa kuch waqt bahut yaad aaya.

Meri aankhon ke har eik ashk pe rone wala
Aaj jab aankh yeh roee toh bahut yaad aaya.

Jo mere dard ko seene mein chhupa leta tha
aaj jab dard huwa mujh ko bahut yaad aaya.

Jo meri aankh mein kajal ki tarah rahta tha
aaj kajal jo lagaya toh bahut yaad aaya.

Jo mere dil ke tha qareeb faqat us ko hi
Aaj jab dil ne bulaya toh bahut yaad aaya.

(Unknown)

Saturday, June 9, 2012

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain
Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Chhut Jate Hain

Samandar Ki Gehrayee Se Bhi Hote Hain Jo Gehray
Pal Bhar Mein Woh Rishtay Kyunkar Toot Jate Hain

Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap se Badh Kar
Wohi Log Dil Ki Dunya Kyun Loot Jate Hain

Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se
Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain

Bada Naaz Tha Mujhko Toh Un Ki Wafaaon Par
Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain

(Unknown)

Us baag ke phoolo ka kabhi haar na mango


Karte hai jaha shole bhi chhup chhup ke shararat.
Us baag ke phoolo ka kabhi haar na mango.

Sansar dilo ko kabhi milne nahi deta.
Karni hai mohabbat to ye sansar na mango.

Tasleem ki baksha hai tumhe husn khuda ne.
Ye husn e nazar mera hai har baar na mango.

Mai hausla hara nahi manjhdhar me phanskar.
Tuti sahi mujhse meri patwar na mango.

Palko pe WAFA ke hai mohabbat ke sitare.
Ay jaane gazal ab koi uphaar na mango.

(Unknown)

Friday, June 8, 2012


Aye Rooh-e-Mohammad

Sheeraaza hua millat-e-marhoom ka abtar
Ab tu hi bata tera Musalman kidhar jaye

woh lazzat-e-aashob nahi Bahr-e-Arab mein
Posheeda jo hai mujh mein woh toofaan kidhar jaye

Har chand hai beqaafla-o-rahila-o-zaad
Is koh-o-bayaabaan se Hadi-Khan kidhar jaaye

Is raaz ko ab faash kar aye Rooh-e-Mohammad
Aayaat Ilaahi ka nigahbaan kidhar jaaye

(Dr. Sir Mohammad Allama Iqbal)

Sunday, June 3, 2012

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa


vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa 


(Parveen Shakir)

kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii


kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii
dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii

baat vo aadhii raat kii raat vo puure chaa.Nd kii
chaa.Nd bhii ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii

sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii

dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo
shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhii

us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii

merii talab thaa ek shaKhs vo jo nahii.n milaa to phir
haath duaa se yuu.N giraa bhuul gayaa savaal bhii

shaam kii naasamajh havaa puuchh rahii hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii

us ke hii baazuuo.n me.n aur us ko hii sochate rahe
jism kii Khvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhii


(Parveen Shakir)