Sunday, June 3, 2012

kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii


kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii
dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii

baat vo aadhii raat kii raat vo puure chaa.Nd kii
chaa.Nd bhii ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii

sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii

dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo
shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhii

us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii

merii talab thaa ek shaKhs vo jo nahii.n milaa to phir
haath duaa se yuu.N giraa bhuul gayaa savaal bhii

shaam kii naasamajh havaa puuchh rahii hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii

us ke hii baazuuo.n me.n aur us ko hii sochate rahe
jism kii Khvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhii


(Parveen Shakir)

No comments:

Post a Comment