Sunday, September 23, 2012

kho gaya jo ussay dhoond ke laaoon kaisay

kho gaya jo ussay dhoond ke laaoon kaisay

laapata ka pata sabko bataoon kaisay 



woh toh kehta hai chalo saath saffar kartay hain

saath chalta hoon magar saath nibhaoon kaisay 



meray alfaaz mein woh apni ghazal kaisay kahay?
apni aankhon se ussay khawab dikhaoon kaisay 

woh jo hota toh har roz jashan sa hota
uske jaanay pe ab eid manaooun kaisay 

tu meri yaad mein har roz chala aata hai
sochta hoon main teri yaad mein aaoon kaisay 

kab se aangan mein bahaarein nahi aayee hain
khushk phoolon se main ghar ko sajaoon kaisay 

kaisay beh jaoon phir teri soch k dhaaray mein
lot aya hoon ab uss simt ko jaaoon kaisay 

jhoot sun-nay ke aadi hain meray sheher ke log
kyun kahoon such aur unko rulaaoon kaisay 

dil jo roothay toh teri yaad mana leti thee
yaad roothi hai ab isko manaoon kaisay

No comments:

Post a Comment