Wednesday, August 8, 2012

vo savaa yaad aaye bhulaane ke baad
zindagii barh gaii zahar khaane ke baad

dil sulagataa rahaa aashiyaane ke baad
aag ThanDii huii ik zamaane ke baad

raushanii ke liye ghar jalaanaa paraa
kaisii zulmat barhii tere jaane ke baad

jab na kuchh ban paraa arz-e-Gam kaa javaab
vo Khafaa ho gaye muskuraane ke baad

dushmanon se pashemaaaN honaa paraa hai
doston kaa Khuluus aazamaane ke baad

baKhsh de yaa rab ahal-e-havas ko bahisht
mujh ko kyaa chaahiye tum ko paane ke baad

kaise kaise gile yaad aaye 'Khumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad

No comments:

Post a Comment