Sunday, August 12, 2012

aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii
jazbaat me.n vo pahalii sii shiddat nahii.n rahii

sar me.n vo intazaar kaa saudaa nahii.n rahaa
dil par vo dha.Dakano.n kii hukuumat nahii.n rahii

paiham tavaaf-e-kuuchaa-e-jaanaa ke din gaye
pairo.n me.n chalane phirane kii taaqat nahii.n rahii

chehare kii jhurriyo.n ne bhayaanak banaa diyaa
aa_iinaa dekhane kii bhii himmat nahii.n rahii

kam_zorii-e-nigaah ne sanjiidaa kar diya
jalvo.n se chhe.D-chhaa.D kii aadat nahii.n rahii

allaah jaane maut kahaa.N mar ga_ii 'Khumar'
ab mujh ko zindagii kii zaruurat nahii.n rahii
(Khumar Barabankvi)

No comments:

Post a Comment